Back To Top

Tuesday, 17 September 2013

mitti me milaa de ke juda ho nahi sakta

mitti me milaa de ke juda ho nahi sakta

ab is se to jyada main tera ho nahi sakta

dehleez pe rakh dee hain kisi shakhsh ne aankhen
roshan kabhee itnaa to diyaa ho nahi sakta

bas tu meri aawaaz me aawaaz mila de,
phir dekh ke is shahar me kyaa ho nahi sakta

ae maut mujhe tune musibat se nikaalaa
sayyaad samajhta thaa rihaa ho nahi sakta

is khaakbadan ko bhi kabhi pahunchaa de wahan bhi
kyaa itnaa karam baad-e-sabaa ho nahi sakta

peshaani ko sazde bhi ataa kar mere maula
aankhon se to yah karz adaa ho nahi sakta...