Back To Top

Wednesday, 15 October 2014

mohabbaton me dikhaawe ki dosti naa milaa

mohabbaton me dikhaawe ki dosti naa milaa
agar gale nahin miltaa to haath bhi naa milaa

gharon pe naam the naamon ke saath ohde the

bahut talaash kiyaa koi aadmi naa milaa

tamaam rishton ko main ghar pe chhod aayaa thaa

phir uske baad mujhe koi ajanbee naa milaa

badee ajeeb hai ye kurbaton ki doori bhi,

wo mere saath rahaa aur mujhe kabhi naa milaa

khudaa ki itni badee kaynaat me maine,

bas ek shakhas ko maanga mujhe wahi naa milaa....