Back To Top

Tuesday, 17 September 2013

aankhon ko intzaar ka dekar hunar chala gayaa

aankhon ko intzaar ka dekar hunar chala gayaa

chaha tha ek shakhsh ko jaane kidhar chala gayaa

din ki wo mehfilen gayi raaton ke ratjage gaye
koi samet kar mere sham-o-sahar chala gayaa

jhonka hai ek bahaar ka rang-e-khayaal-e-yaar bhi
har soo bikhar gayi khushboo jidhar chala gayaa

is ke hi dam se dil me aaj dhoop bhi chandni bhi hai,
deke wo apni yaad ke shams-o-qamar chala gayaa

koocha-b-koocha dar-b-dar kab se bhatak raha hai dil
humko bhula ke raah wo apni dagar chala gayaa...