hum kabhi jab dard ke kisse sunane lag gaye

lafz phoolon ki tarah khushboo lutane lag gaye
lautne me kam padegi umar ki poonji hume
aap tak aane hi me humko zamane lag gaye
aapne aabaad veeraane kiye honge bahut
aapki khatir magar hum to thikaane lag gaye
dil samandar ke kinare ka wo hissa hai jahaan
shaam hote hi bahut se shamiyaane lag gaye
bebasi teri inaayat hai ke hum bhi aajkal
apne aansoo apne aanchal par bahane lag gaye
ungliyaan thaame hue bachche chale school ko
subah hote hi parinde chahchahaane lag gaye
karfyoo me aur kya karte madad ek laash ki
bas agarbatti ki soorat hum sirhaane lag gaye....