na main kanghee banataa hoon
na main kanghee banataa hoon na main choti banata hoon
ghazal me aap beeti ko main jag beeti banaata hoon
ghazal wo sinf-e-naazuk hain jise apni rafaaqat se
wo mahbooba bana leta hai main beti banaata hoon
hukumat ka har ek inaam hai bandooksaazi par
mujhe kaise milega main to baisaakhi banaata hoon
mere aangan ki kaliyon ko tamnna shaahzaadon kee
magar meri musibat ye hai main beeree banaata hoon
sazaa kitni badi hai gaon se baahar nikalne kee,
main mitti goondhta thaa ab dabal roti banaata hoon
wazaarat chand ghanton ki, mahal meenaar se oonchaa
main aurangzeb hoon apne liye khichadi banaata hoon
bas itni iltizaa hai tum ise gujraat mat karna
tumhe is mulk ka malik main jeete jee banaata hoon
mujhe is shahar ki sab ladkiyaan aadaab karti hain
main bachchon ki kalaai ke liye rakhee banaata hoon
tujhe ae zindagi ab kaidkhaane me guzarna hai
tujhe main isliye dukh-dard ka aadee banaata hoon
main apne gaon ka mukhiya bhi hoon bachchon ka katil bhi
jalaa kar doodh kuchh logon ki khatir ghee banaata hoon....