Back To Top

Wednesday, 18 September 2013

sabki khushiyon ki chaah karte hain

sabki khushiyon ki chaah karte hain

hum sirf ye gunaah karte hain

jurm tahzeeb hai tamddun hai
kyunki aalampanaah karte hain

us se kahte hain duniya faani hai
jiski duniya tabaah karte hain

kis tarah jaal ko uden lekar
kuchh parinde salaah karte hain

tazkiraa sun ke apna sheron me
dard bhi wah wah karte hain....