Back To Top

Monday, 9 December 2013

dekha hai zindagi ko kuchh itnaa kareeb se

dekha hai zindagi ko kuchh itnaa kareeb se
chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se

kahne ko dil ki baat jinhen dhoondhte the hum,

mehfil me aa gaye hain wo apne naseeb se

neelaam ho raha tha kisi naazneen ka pyaar

keemat nahin chukaai gayi ek gareeb se

teri wafaa ki laash par laa main hi daal doon

resham ka ye kafan jo mila hai raqeeb se....