Back To Top

Sunday, 26 January 2014

dil-e-naadan tujhe huaa kyaa hai

dil-e-naadan tujhe huaa kyaa hai
aakhir is dard ki dawaa kyaa hai


hum hain mushtaaq aur wo bezaar
ya ilaahi ye majraa kyaa hai

main bhi muhn me zabaan rakhta hoon
kash poochho ke mudaa kyaa hai

jaan tum par nisaar karta hoon
main nahi jaanta duaa kyaa hai

humko unse wafaa ki hai umeed
jo nahi jaante wafaa kyaa hai

jab ki tujh bin nahi koi maujood
phir ye hungama-e-khudaa kyaa hai

ye pari chehra log kaise hain
ghamza-o-ashwa-o-adaa kyaa hai

shikan-e-zulf-e-ambreen kyun hain
nigaah-e-chashm-e-surma saa kyaa hai

sabza-o-gul kahan se aaye hain
abr kyaa cheez hai hawaa kyaa hai

humne maanaa ke kuchh nahi 'ghalib'
muft haath aaye to buraa kyaa hai