Back To Top

Wednesday, 21 May 2014

koi ye kaise bataaye ki wo tanhaa kyun hai

koi ye kaise bataaye ki wo tanhaa kyun hai
wo jo apna tha wahi aur kisi kaa kyun hai
yahi duniya hai to phir aisi ye duniya kyun hai
yahi hota hai to aakhir yahi hotaa kyun hai

ek zaraa haath badhaa dein to pakad lein daaman
uske seene me samaa jaaye hamaari dhadkan
itni kurbat hai to phir faasla itna kyun hai

dil-e-barbaad se nikla nahi ab tak koi
ek lute ghar pe diya karta hai dastak koi
aas jo toot gayi phir se bandhaata kyun hai

tum masrrat ka kaho ya ise gham ka rishtaa
kahte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kyun hai......